Posts

Showing posts from 2011

jindagi milegi na dobara

Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya ... Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai ****************************** ********* Ik baat honton tak hai jo aayi nahin Bas ankhon say hai jhaankti Tumse kabhi, mujhse kabhi Kuch lafz hain woh maangti Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ahsas hi ahsas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairti Khushboo jo be-aawaaz hai Jiska pata tumko bhi hai Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chupta nahin Yeh jaane kaisa raaz hai ****************************** ********* Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan Neeli ne...